Wednesday 7 September 2011

Fanaa Shayari

The only interesting part of the movie lies in the start where Zooni and Rehaan's love blossoms under the exchange of refreshing poetry. Witty retorts and timely wordings, that's what engaged me. Hope you too will find this interesting!..




“Tere Dil Mein Meri Saanson Ko Panaah Mil Jaaye,
Tere Ishq Mein Meri Jaan Fanaa Ho Jaaye.”




"Humse door jaoge kaise, 
dil se hume bhoolaoge kaise,
hum wo khushboo hai jo saanso me baste hain, 
Khudkee saanso ko rok paaoge kaise" 



"Baithee hain hoton ko seekar..........
pachchhtaaengee aap,
Ishq jaag uthtaa hain aksar aisee khamoshi ke baaad" 
"Phool Hoon Gulab kaa Chameli ka matt samazna, 
aashiq hoon aapka, apnee Saheli ka matt samazna"



"Naa shahar dekho naa biyaban dekho, 
Naa shahar dekho naa biyaban dekho.., 
Khuda ka eklauta namonishan dekho ,
buss aankh uthao aur Rehan dekho"



"Insaan kee khwaaish kee koi intehaan nahi, 
Insaan kee khwaaish kee koi intehaan nahi, 
Do gajj jameen chahiye ....
do gajj kafann ke baad"



"Dard se aankhen chaar kar lenge, 
hum bhi intehaan dedenge, 
teri dosti kee khaatir aye dost, 
hum dushmano se bhi pyaar kar lenge"



"Rone de tu aaj humko tu aanhkein sujaane de 
baho me le aur khud ko bheeg jaane de 
Hain jo seene me kaid dariya wo chhut jayega 
Hain itna dard kee tera daaman bheeg jayega"




"Kaash main oon kaa gola hota, 
Kaash main oon kaa gola hota aur .... 
Unkee ungliyon me liptaa hota ....
Kaash wo mera sweater banakar 
garmiyon me bhi pahne rahtee........"




Bekhudee kee jindagi hum jiya nahi karte,
Jaam doosron se chheen kar hum piya nahi karte,
Unko mohabbathain to aakar ijhaar kare,
Peechha hum bhi kisika kiyanahi karte......



Laga khuda ne rakhdiya hamaray dil per haath,
Liya unhoon ne hamara naam kuchh aisee ada ke saath.......




E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde...




                             -By KRUNALVAGHELA

No comments:

Post a Comment